jo rah chalna hai KHud hi chun lo yahan koi rahbar nahin hai
yahi haqiqat hai baat mano tumhein abhi kuchh KHabar nahin hai
kisi ko sada-dili ka badla mila hi kab hai jo ab milega
wafa bhi duniya mein ek shai hai magar wo ab mo'atabar nahin hai
na jaane kab ruKH hawa badal de bhaDak uThen phir wo bujhte shoale
hiras hai wo faza pe tari kahin bhi mahfuz ghar nahin hai
jo chahte hain chaman ko baTen wo kaise baTenge fasl-e-gulshan
bahega ghunchon ka KHun kitna unhen to is ka bhi Dar nahin hai
jo pusht pe war kar rahe hain kaho ki ab samne se aaen
jise wo ghafil samajh rahe hain wo is qadar be-KHabar nahin hai
na kaamyabi milegi tum ko hamein miTane ki koshishon mein
jhukega jo zalimon ke aage wo haq-paraston ka sar nahin hai
jo banTte hain mata-e-hasti unhen ye 'afshan zara bata do
jo main ne manga hai haq hai mera mujhe ye kahne mein Dar nahin hai
Ghazal
Jo rah chalna hai KHud hi chun lo yahan koi rahbar nahin hai
Arjumand Bano Afshan