jo qissa-go ne sunaya wahi suna gaya hai 
agar tha is se siwa to nahin kaha gaya hai 
musafirat ka hunar hai na wapsi ki KHabar 
so chal raha hun jidhar bhi ye rasta gaya hai 
aman ko nil mayassar na main koi musa 
mujhe supurd-e-farain kar diya gaya hai 
sabab nahin tha zamin par utarne ka mujhe 
sabab baghair hi wapas uTha liya gaya hai 
ye muntaha hai meri na-rasai ka shayad 
jo dur hadd-e-nazar se pare KHala gaya hai 
mahak uThe hain mere bagh ke KHas-o-KHashak 
koi Tahalta hua surat-e-saba gaya hai
        Ghazal
Jo qissa-go ne sunaya wahi suna gaya hai
Ejaz Gul

