jo qarz mujh pe hai wo bojh utarta jaun
koi sune na sune main pukarta jaun
miTa chuka hun jise apne safha-e-dil se
ghazal ghazal wahi chehra ubhaarta jaun
na jaane mere taaqub mein kaun kaun aae
main apne naqsh-e-kaf-e-pa ubhaarta jaun
jo mere pas hai apne liye bacha rakkhun
jo mere pas nahin tujh pe warta jaun
qadam qadam pe nae log samne aaen
qadam qadam pe nae rup dhaarta jaun
kahin bane na ana meri rah mein diwar
ye tauq apne gale se utarta jaun
muqabla to karun 'rashid' apne dushman se
ye aur baat hai jitun ki haarta jaun
Ghazal
Jo qarz mujh pe hai wo bojh utarta jaun
Rashid Mufti

