jo puchha munh dikhane aap kab chilman se niklenge
to bole aap jis din hashr mein madfan se niklenge
jalega dil tumhein bazm-e-adu mein dekh kar mera
dhuan ban ban ke arman mahfil-e-dushman se niklenge
ikaTThe kar ke teri dusri taswir khinchunga
wo sab jalwe jo chhan chhan kar teri chilman se niklenge
siyah poshak dosh-e-naz par bikhri hui zulfen
mere matam ki shirkat ko baDe joban se niklenge
hamein parwa nahin is ki qayamat lakh bar aae
na tum madfan pe aaoge na hum madfan se niklenge
tere daman se badla lenge zalim KHun-e-nahaq ka
wo fawware lahu ke jo meri gardan se niklenge
yahi rishta junun-e-ashiqi ka hai to kuchh din mein
mere tar-e-gareban yar ke daman se niklenge
hazaron husn wale is zamin mein dafn hain 'muztar'
qayamat hogi jab ye sab ke sab madfan se niklenge
Ghazal
Jo puchha munh dikhane aap kab chilman se niklenge
Muztar Khairabadi