اردو हिंदी
Jo pinhan tha wahi har su ayan hai | Shaahi Shayari
jo pinhan tha wahi har su ayan hai

Ghazal

Jo pinhan tha wahi har su ayan hai

Goya Faqir Mohammad

;

jo pinhan tha wahi har su ayan hai
ye kahiye lan tarani ab kahan hai

jo pahunche hath zanjiron ko toDen
garche panw apna darmiyan hai

chamak lal-e-ba-daKHshan ki miTa de
tere honTon pe aisa rang pan hai

tujhe kahta hun sun o wahshat-e-dil
wahan le chal jahan wo dil-sitan hai

wo hon nazuk-mizaj ai ham-safiro
rag-e-gul mujh ko KHar-e-ashiyan hai

mua jata hun main tarz-e-nigah se
tere lab ki masihai kahan hai

bula kar us se do baaten to sun le
ye kahte hain ki 'goya' KHush-bayan hai