jo pi raha hai sada KHun be-gunahon ka
wo shaKHs to hai numainda kaj-kulahon ka
jise bhi chaha salib-e-sitam pe khinch diya
faqih-e-shahr to qail nahin gawahon ka
hum ahl-e-dil hain sadaqat hamara shewa hai
hamein Dara na sakega jalal shahon ka
har ek qadr ko ruswaiyan milin in se
ajib sa raha kirdar-e-din panahon ka
meri zamin ko maqbuza tu zamin na samajh
ki TuTne ko hai afsun teri sipahon ka
abhi to azm-e-safar bhi kiya na tha hum ne
ki jag uTTha har ek zarra shah-rahon ka

Ghazal
Jo pi raha hai sada KHun be-gunahon ka
Bakhsh Layalpuri