jo pari bhi ru-ba-ru ho to pari ko main na dekhun
meri aankhen band kar do ki kisi ko main na dekhun
dil-e-garm KHun-e-ulfat mere bar mein rakh diya hai
su-e-gul to multafit hun jo kali ko main na dekhun
mera dil laga hai jis se mera ji gaya hai jis par
meri kyun-ki zindagi ho jo usi ko main na dekhun
meri tujh se zindagi hai to mera jigar hai ji hai
kise dekh kar jiyun phir jo tujhi ko main na dekhun
meri kyun-ki ho tasalli tu hi 'mushafi' bata phir
dil-e-shab bhi us sanam ki jo gali ko main na dekhun
Ghazal
Jo pari bhi ru-ba-ru ho to pari ko main na dekhun
Mushafi Ghulam Hamdani

