jo palkon par meri Thahra hua hai
wo aansu KHun mein Duba hua hai
farishte KHwan le kar aa rahe hain
sahifa taq mein rakkha hua hai
koi anhoni shayad ho gai phir
ghubar-e-karwan Thahra hua hai
kisi ki KHwahishen pa-basta kar ke
ye kab socha haram ruswa hua hai
wo ek lamha jo tere wasl ka tha
bayaz-e-hijr par likkha hua hai
mujhe bhi ho gaya irfan-e-zat ab
muqabil aaina rakkha hua hai
ayaadat karne sab aae hain 'aKHtar'
tera chehra magar utra hua hai
Ghazal
Jo palkon par meri Thahra hua hai
Akhtar Shahjahanpuri