اردو हिंदी
Jo nur dekhta hun main jam-e-sharab mein | Shaahi Shayari
jo nur dekhta hun main jam-e-sharab mein

Ghazal

Jo nur dekhta hun main jam-e-sharab mein

Raees Niyazi

;

jo nur dekhta hun main jam-e-sharab mein
wo aaftab mein hai na wo mahtab mein

is tarah azm-e-zohd hai ahd-e-shabab mein
chalne ka jaise qasd kare koi KHwab mein

meri nazar se chhup ke rahen wo hijab mein
mere nadim kya mah-o-anjum hain KHwab mein

mujh ko sunae jate hain afsane KHuld ke
Duba hua hun masti-e-sher-o-sharab mein

aaKHir tilism-e-ghuncha-o-gul TuT kar raha
meri nazar se chhup na sake wo hijab mein

insan kha raha hai fareb-e-hayat kyun
kashti kabhi rawan bhi hui hai sarab mein

begana-e-nazar the hamin is ka kya ilaj
shamil hain rahmaten bhi kisi ke itab mein

har manzar-e-jamil pe go ruk gai nazar
Thahre magar tumhin nigah-e-intiKHab mein

mera har ek nafas hai payam-e-raza-e-dost
zahid phansa hua hai azab-o-sawab mein

har manzar-e-jamil ko Thukra ke ai 'rais'
KHud samne hon apni nazar ke jawab mein