jo nihayat mehrban hai aur nihan rakha gaya
man ki surat mein usi ka tarjuman rakha gaya
un kinaron se kinare ho na pae ham-kanar
KHam miTTi ke ghaDe ko raaz-dan rakha gaya
hijr ko is waste shohrat zyaada mil gai
aarzu-e-wasl ko behad giran rakha gaya
KHak se uTh kar kahin aabaad hona hai hamein
is liye itna kushada aasman rakha gaya
lag nahin sakti hai 'raKHshanda' nawed us ke gale
KHud mere patthar-badan ko darmiyan rakha gaya

Ghazal
Jo nihayat mehrban hai aur nihan rakha gaya
Rakhshanda Naved