jo nekiyon se badi ka jawab deta hai
KHuda bhi us ko sila be-hisab deta hai
usi ke hukm se ghar-bar ujaD bhi jate hain
wahi phir un ko basane ke KHwab deta hai
bashar pe qarz jo hote hain kar-ha-e-jahan
tamam-umr wo un ka hisab deta hai
gharaz ye hai na ho fikr-o-amal mein kotahi
KHuda dilon ko agar iztirab deta hai
qusur is mein bhi hai waldain ka shayad
jo bachcha un ko palaT kar jawab deta hai
kaTi hai umr azabon mein dekhna hai ab
mazid kya dil-e-KHana-KHarab deta hai
wo aazmata hai kanTon se sabr insan ka
phir us ke baad mahakte gulab deta hai
sawal did-o-mulaqat kar chuke hain 'chand'
ab aage dekhiye wo kya jawab deta hai
Ghazal
Jo nekiyon se badi ka jawab deta hai
Mahendra Partap Chand