jo nazar aata nahin diwar mein dar aur hai
in sitam-garon ke pichhe ek sitamgar aur hai
jo nazar aata nahin raste ka patthar aur hai
main nahin hun mere andar ek KHud-sar aur hai
in fazaon mein magar mera guzar mumkin nahin
meri manzil aur hai mera muqaddar aur hai
hum hain tufan-e-hawadis mein hamein malum hai
tum samajh sakte nahin sahil ka manzar aur hai
bojh teri bewafai ka uTha leta magar
ek tamanna tujh se baDh kar dil ke andar aur hai
kuchh talluq hi nahin jis ka mere haalat se
mere mohsin tera ek ehsan mujh par aur hai
aap se mil kar mujhe mahsus ye hone laga
ye mera paikar nahin hai mera paikar aur hai
meri barbaadi ka bais sirf nadari nahin
ek saman-e-aziyyat is se baDh kar aur hai
raushni pahle bhi hoti thi magar 'sultan-rashk'
aaftab-e-subah-e-azadi ka manzar aur hai
Ghazal
Jo nazar aata nahin diwar mein dar aur hai
Sultan Rashk