اردو हिंदी
Jo narm lahje mein baat karna sikha gaya hai | Shaahi Shayari
jo narm lahje mein baat karna sikha gaya hai

Ghazal

Jo narm lahje mein baat karna sikha gaya hai

Imdad Hamdani

;

jo narm lahje mein baat karna sikha gaya hai
wo shaKHs 'imdad' mujh ko kundan bana gaya hai

mohabbaton ke nagar se aaya tha jo payami
gira ke diwar nafraton ki chala gaya hai

main wo musafir hun jis ka koi nahin Thikana
ye na-rasai ka zaKHm mujh ko rula gaya hai

musalahat ka paDha hai jab se nisab main ne
saliqa duniya mein zinda rahne ka aa gaya hai

yahan ke karbal mein koi tishna-dahan nahin hai
wo fauj nahr-e-furaat par kyun biTha gaya hai

main us musafir ko yaad kar ke mutmain hun
jo Dher sari duaen de ke chala gaya hai