jo naqsh miT chuka hai banana to hai nahin
ujDa dayar hum ne basana to hai nahin
aankhon ke dip rah mein us ke jalaen kya
is ne palaT ke phir kabhi aana to hai nahin
lazim hai chalna zist ki rahon pe bhi magar
jo gir paDe kisi ne uThana to hai nahin
bhar jaega ye thoDi si chaaragari ke baad
taza laga hai zaKHm purana to hai nahin
kab tak wafa ke mani batata rahun use
us bewafa ne rah pe aana to hai nahin
kuchh der Thahar jae wo KHud hi KHuda kare
is bar koi aisa bahana to hai nahin
phir KHwahishon ke peD pe baiThenge dekhna
in panchhiyon ka koi Thikana to hai nahin
allah-re wafaen ye KHuban-e-shahr ki
manzar dhuan dhuan hai suhana to hai nahin
mansub kar dun main jo teri zindagi ke sath
yaadon ka mere pas KHazana to hai nahin
kyun phir kisi ke dil mein mohabbat basaen hum
jab aashiqi mein nam kamana to hai nahin
qismat hai is ke samne ban jae koi baat
waise koi bhi baat banana to hai nahin
sochun to sare log nishane pe hain magar
dekhun koi kisi ka nishana to hai nahin
wo apna dard aap sunae to baat hai
hum ne kisi ka dard sunana to hai nahin
ek dusre ki ghat mein baiThe hain sab magar
is waqt ne kisi ko bachana to hai nahin
hai tairan-e-shauq ka maslak to KHamushi
hai maslahat ki shor machana to hai nahin
ishq-o-nazar ka daimi rishta azal se hai
majnun ne shahr chhoD ke jaana to hai nahin
hasil kiya na is liye tamir ka hunar
hum ne naya jahan basana to hai nahin
kaise rasai ho meri us ke mizaj tak
ahwal us ne dil ka sunana to hai nahin
mahrum hum na hon kabhi man ki duaon se
nayab aisa koi KHazana to hai nahin
dekhega kaun chaak-e-gareban ko 'nabil'
farhad-o-qais ka ye zamana to hai nahin

Ghazal
Jo naqsh miT chuka hai banana to hai nahin
Nabeel Ahmad Nabeel