اردو हिंदी
Jo naqsh hai hasti ka dhoka nazar aata hai | Shaahi Shayari
jo naqsh hai hasti ka dhoka nazar aata hai

Ghazal

Jo naqsh hai hasti ka dhoka nazar aata hai

Asghar Gondvi

;

jo naqsh hai hasti ka dhoka nazar aata hai
parde pe musawwir hi tanha nazar aata hai

nairang-e-tamasha wo jalwa nazar aata hai
aankhon se agar dekho parda nazar aata hai

lau sham-e-haqiqat ki apni hi jagah par hai
fanus ki gardish se kya kya nazar aata hai

ai parda-nashin zid hai kya chashm-e-tamanna ko
tu daftar-e-gul mein bhi ruswa nazar aata hai

nazzara bhi ab gum hai be-KHud hai tamashai
ab kaun kahe is ko jalwa nazar aata hai

jo kuchh thi yahan raunaq sab baad-e-chaman se thi
ab kunj-e-qafas mujh ko suna nazar aata hai

ehsas mein paida hai phir rang-e-gulistani
phir dagh koi dil mein taza nazar aata hai

thi fard-e-amal 'asghar' kya dast-e-mashiyyat mein
ek ek waraq is ka sada nazar aata hai