jo nahin mumkin kabhi mumkin wo hona chahiye
wo nahin mera mujhe to us ka hona chahiye
aur to kuchh bhi nahin lekin sukun-e-qalb ko
man ke pahlu ki tarah ka ek bichhauna chahiye
mera yusuf ghaib mein hai aur main roti nahin
hijr ka mujh se taqaza hai ki rona chahiye
is mohabbat ka asal is ke siwa kuchh bhi nahin
umr aisi hai ki tum ko ek khilauna chahiye
din sunahra hai to apne aap se mil lo zarur
sham-ta-shab to faqat takiya bhigona chahiye
aaj fursat hai to 'zehra' faisla ab KHud karo
chain khoya nind khoi ab kya khona chahiye
Ghazal
Jo nahin mumkin kabhi mumkin wo hona chahiye
Urooj Zehra Zaidi