jo nahin lagti thi kal tak ab wahi achchhi lagi
dekh kar us ko jo dekha zindagi achchhi lagi
thak ke suraj sham ki banhon mein ja kar so gaya
raat bhar yaadon ki basti jagti achchhi lagi
muntazir tha wo na hum hon to hamara nam le
us ki mahfil mein hamein apni kami achchhi lagi
waqt-e-ruKHsat bhigti palkon ka manzar yaad hai
phul si aaankhon mein shabnam ki nami achchhi lagi
daere mein apne hum donon safar karte rahe
barf si donon jaziron par jami achchhi lagi
ek qadam ke fasle par donon aa kar ruk gae
bas yahi manzil safar ki aaKHiri achchhi lagi
Ghazal
Jo nahin lagti thi kal tak ab wahi achchhi lagi
Absar Abdul Ali