jo nahin kiya ab tak be-hisab karna hai
apne har rawayye se ijtinab karna hai
ab to kaam aaegi be-guman saffaki
KHush-gawar phulon ko aaftab karna hai
rang apni chhatri ka dhup ne miTa Dala
subh hone se pahle phir KHizab karna hai
sarfarosh lahron ki sarfaroshiyan kab tak
sarfarosh lahron ko zer-e-ab karna hai
raste zehanat ke tajiron pe khulte hain
is sadi ke chehron ko be-naqab karna hai
Ghazal
Jo nahin kiya ab tak be-hisab karna hai
Wajid Qureshi