jo narawa tha us ko rawa karne aaya hun
main qarz dusron ka ada karne aaya hun
ek taza-tar futur mere sar mein aur hai
jo kar chuka hun us se siwa karne aaya hun
KHud ek sawal hai mera aana hi is taraf
ab kya bataiye ki main kya karne aaya hun
kahni hai dusron se alag main ne koi baat
main kaam koi sab se juda karne aaya hun
ek dagh hai ki jis ka lagana hai ab suragh
ek zaKHm hai ki jis ko hara karne aaya hun
anjam-e-kar dil ka ye darwaza toD kar
main sare qaidiyon ko riha karne aaya hun
rakhta hun apna aap bahut khinch-tan kar
chhoTa hun aur KHud ko baDa karne aaya hun
jo kar rahe hain aise hi karte rahenge sab
main to fuzul chun-o-chara karne aaya hun
KHairaat ka mujhe koi lalach nahin 'zafar'
main is gali mein sirf sada karne aaya hun
Ghazal
Jo narawa tha isko rawa karne aaya hun
Zafar Iqbal