اردو हिंदी
Jo na naqd-e-dagh-e-dil ki kare shola pasbani | Shaahi Shayari
jo na naqd-e-dagh-e-dil ki kare shola pasbani

Ghazal

Jo na naqd-e-dagh-e-dil ki kare shola pasbani

Mirza Ghalib

;

jo na naqd-e-dagh-e-dil ki kare shola pasbani
to fasurdagi nihan hai ba-kamin-e-be-zabani

mujhe us se kya tawaqqo ba-zamana-e-jawani
kabhi kudki mein jis ne na suni meri kahani

yun hi dukh kisi ko dena nahin KHub warna kahta
ki mere adu ko ya rab mile meri zindagani