jo na karna tha kiya jo kuchh na hona tha hua
chaar din ki zindagi mein kya kahen kya kya hua
ye samajh kar hum nahin kahte kisi se raaz-e-dil
is taraf nikla zaban se us taraf charcha hua
bhar ke ThanDi sans lin bimar ne jab karwaTen
wo kaleja tham kar kahne lage ye kya hua
suniye suniye aatish-e-gham se hue hum jal ke KHak
kahiye kahiye ab kaleja aap ka ThanDa hua
mere chehre se ayan hai dekh lo pahchan lo
ye na puchho dil ka aalam dil ka naqsha kya hua
Ghazal
Jo na karna tha kiya jo kuchh na hona tha hua
Bismil Allahabadi