jo mujh se dur jaana chahta tha
wo mere sath hi pakDa gaya tha
main apni muTThiyon mein qaid tha ya
mujhe aisa kisi ne kar diya tha
meri aankhen to main ne noch lin thin
mujhe phir bhi kisi ne paDh liya tha
bichhaDte waqt bhi dil kuchh na bola
ye pagal zabt kar ke rah gaya tha
tha us se ishq ka izhaar karna
mujhe kuchh aur hi kahna paDa tha
use mujh se rihai chahiye thi
main apni lash par baiTha hua tha
kaha donon ne ek duje ko behtar
bas us ke baad jhagDa ho gaya tha
jahan ke tabsire se tang aa kar
bahut nuqsan hum ne kar liya tha
sitare baDh rahe the meri jaanib
magar wo chand kyun Thahra hua tha
mere yaro tumhaari hi badaulat
safar jari hua hai, ruk gaya tha
kabhi aawaz di thi 'muntazir' ko
main apne aap se Takra gaya tha
Ghazal
Jo mujhse dur jaana chahta tha
Muntazir Firozabadi