jo muhibba-e-wafa hain wo wafa karte hain
kuchh gharaz is se nahin koi jafa karte hain
KHugar-e-dard hain sab kuchh wo saha karte hain
dushmanon se nahin matlab ki wo kya karte hain
hum jigar tham ke jab aah-e-rasa karte hain
ek qayamat mein qayamat hi bapa karte hain
chaaragar ka ho bhala kaun rahin-e-minnat
hum to KHud apni hi zaKHmon ko siya karte hain
saz ho aish ka ya sur-e-musibat dam-saz
ab to har haal mein hum shukr ada karte hain
aap sharma gae kyun dekh ke raqs-e-bismil
kya kahin tir-e-nazar chal ke KHata karte hain
aatish-e-ishq-e-watan rakhte hain dil mein raushan
apni hi aag mein jal jal ke bujha karte hain
har hubab-e-lab-e-ju jalwa-gah-e-hasti hai
naqsh ban ban ke zamane se miTa karte hain
'shauq' sa banda-e-azad zamane mein kahan
aaj sunte hain ki wo yaad-e-KHuda karte hain
Ghazal
Jo muhibba-e-wafa hain wo wafa karte hain
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

