jo mo'tarif the mere shajra-e-nasab ke sab
wo log ho gae ruKHsat yahan se kab ke sab
faza-e-nisbat-o-qurbat hai gard gard magar
samajh rahe hain mere dil ka haal sab ke sab
wo log jin ki himayat mein KHud se laDta raha
wo log ho gae mere KHilaf ab ke sab
rawish mein auron ke aslaf ki rawish na rahi
so qisse likkhe gae mere hi nasab ke sab
main dusron ki talab mein bahaal hota raha
ghulam hote rahe apni hi talab ke sab
wo harf jis se uTha hai meri nawa ka KHamir
hain muntazir usi ek harf-e-zer-e-lab ke sab
use KHabar thi ki main ek shab ka mehman hun
sau band wa kiye us ne qaba-e-shab ke sab
kisi rihai ka ahwal jaanne ke liye
sirhane baiThe hain KHamosh jaan-ba-lab ke sab
charagh aur qalam aankh aur hairani
ye istiare hain goya meri talab ke sab
ye ranjishen hain 'razi' aur hi talluq se
ye silsile hain kisi aur hi tarab ke sab
Ghazal
Jo motarif the mere shajra-e-nasab ke sab
Khwaja Razi Haidar