jo mere ham-asr ham-sohbat the so sab mar gae
apni apni umar ka paimana har yak bhar gae
puchhte kya ho gunahon ke giraftaron ka haal
KHushk zahid the so is jagah se daman tar gae
hath se sayyaad ke sabit na chhuTa ek said
baal-o-par rakhte the so be-baal aur be-par gae
ye qimar-e-ishq hai ai bul-hawas bazi na jaan
sar gae bahuton ke aur bahuton ke is mein ghar gae
hum ne hasti aur adam ki aa ke ki hai KHub sair
rasm o aain dekh in logon ka az bas Dar gae
ek jo aaya use le god mein di ghar mein ja
dusre ko kaDh kar ghar se zamin mein dhar gae
tum kaho apni miyan 'hatim' ki ho kis fikr ki
aur jo aae jane jaisi bani so kar gae
Ghazal
Jo mere ham-asr ham-sohbat the so sab mar gae
Shaikh Zahuruddin Hatim