jo milne aata hai mil kar juda bhi hota hai
wo KHush-mizaj hai lekin KHafa bhi hota hai
wo bhul baiThe nasha kar ke apni daulat ka
nasha koi bhi ho ek din hua bhi hota hai
kabhi kabhi hi sahi jeb bhaari hoti hai
kabhi kabhi to ye banda KHuda bhi hota hai
main is hasin ko ye baat kaise samjhaun
jo behtarin hai us se siwa bhi hota hai
tumhaari baat ka main ne bura kahan mana
jo apna hota hai us se gila bhi hota hai
kisi mariz se kahna ki aap achchhe hain
ye baat kahne ka matlab dawa bhi hota hai
ye baat mere siwa jaanta nahin koi
ki us ki baat mein gahra nasha bhi hota hai
kabhi jo galiyan de man to ye samajh lena
ki us ki gali ka matlab dua bhi hota hai

Ghazal
Jo milne aata hai mil kar juda bhi hota hai
Habeeb Kaifi