اردو हिंदी
Jo mil gaya hai yahan jalwa-e-KHayali hai | Shaahi Shayari
jo mil gaya hai yahan jalwa-e-KHayali hai

Ghazal

Jo mil gaya hai yahan jalwa-e-KHayali hai

Tajdar Adil

;

jo mil gaya hai yahan jalwa-e-KHayali hai
ye baat hum ne mohabbat mein aazma li hai

ajib saltanat-e-ishq mein nizam mila
jo baadshah nazar aata hai ek sawali hai

tumhaari yaad baDhi aur dil hua raushan
ye ek shama andhere ne KHud jala li hai

hunar ki aag jalai hai KHak se us ne
kamal us ka hi hai meri be-kamali hai

sada ye sochta hun us ka faiz kya likkhun
ki mera dost bhi aur aadmi misali hai

kabhi diya bhi hai lamha kisi ko chahat ka
to zindagi ne ye fursat kabhi chura li hai

kiraya-dari wasila hai apne jine ka
tum aana chaho to dil ka makan KHali hai

kabhi to jhanko zara is ki aag ke pichhe
ye aadmi ki jo zahir mein la-ubaali hai