jo mil gai hain nigahen kabhi nigahon se
guzar gai hai mohabbat hasin rahon se
charagh jal ke agar bujh gaya to kya hoga
mujhe na dekh mohabbat bhari nigahon se
bala-kashon ki andheri gali ko kya jaane
wo zindagi jo guzarti hai shah-rahon se
labon pe mohr-e-KHamoshi lagai jaegi
dilon ki baat kahi jaegi nigahon se
idhar kaha ki na chhuTe sawab ka jada
udhar saja bhi diya rah ko gunahon se
faza-e-mai-kada-e-dil-kusha mein aai hai
hayat ghuT ke jo nikli hai KHanqahon se
meri nazar ka taqaza kuchh aur tha ai dost
mila na kuchh mah o anjum ki jalwa-gahon se
KHizan ki wadi-e-ghurbat guzar len to 'shamim'
milen dayar-e-bahaaran ke kaj-kulahon se
Ghazal
Jo mil gai hain nigahen kabhi nigahon se
Shamim Karhani