jo meri chhat ka rasta chand ne dekha nahin hota
to shayad chandni le kar yahan utra nahin hota
duaen do tumhein mashhur hum ne kar diya warna
nazar-andaz kar dete to ye jalwa nahin hota
abhi to aur bhi mausam paDe hai mere sae mein
main bargad ka shajar hun muddaton buDha nahin hota
hasinon se tamanna-e-wafa kam-zarf rakhte hain
ye aisa KHwab hai jo umr-bhar pura nahin hota
baDe ehsan hain mujh par teri masum yaadon ke
main tanha rasto mein bhi kabhi tanha nahin hota
main jab jab sher ki gahraiyon mein Dub jata hun
siwa tere mere dil mein koi chehra nahin hota
Ghazal
Jo meri chhat ka rasta chand ne dekha nahin hota
Chitransh Khare