jo meri aaKHiri KHwahish ki tarjuman Thahri
wo ek ghaarat-e-jaan hi mata-e-jaan Thahri
ye gham nahin ki mera aashiyan raha na raha
KHushi ye hai ki yahin barq be-aman Thahri
wo teri chashm-e-fusun-saz thi ki mauj-e-karam
wahin wahin pe main Duba jahan jahan Thahri
kabhi the us mein meri zindagi ke hangame
wo ek gali jo guzargah-e-dushmanan Thahri
wahi thi zist ka hasil wahi thi lutf-e-hayat
wo ek saat-e-rangin jo be-karan Thahri
main us ko bhul bhi jaun to kis tarah 'nasir'
jo shart-e-KHas mere un ke darmiyan Thahri
Ghazal
Jo meri aaKHiri KHwahish ki tarjuman Thahri
Nasir Zaidi