اردو हिंदी
Jo meri aah se nikla dhuan hai meri miTTi ka | Shaahi Shayari
jo meri aah se nikla dhuan hai meri miTTi ka

Ghazal

Jo meri aah se nikla dhuan hai meri miTTi ka

Jamal Owaisi

;

jo meri aah se nikla dhuan hai meri miTTi ka
mere andar nihan aatish-fishan hai meri miTTi ka

diye hain taq par raushan magar zau mere andar hai
jo kuchh kuchh tirgi hai wo saman hai meri miTTi ka

mere jalwon ki pamali na dekhi jaegi mujh se
hunar kuchh is tarah se raegan hai meri miTTi ka

zarur us ki shabahat meri sochon se alag hogi
tasawwur mein jo dekha hai guman hai meri miTTi ka

samundar aur dariya hain purane aashna mere
barasta hai jo pani mehrban hai meri miTTi ka

mere ashaar mein aafaq-o-anfus ki kahani hai
mera har lafz-e-shirin tarjuman hai meri miTTi ka

'owaisi' qalb-o-jaan karte rahe sher-o-adab ko hum
agarche ye bhi jins-e-raegan hai meri miTTi ka