jo mere tangna-e-dil mein tujh ko jalwa-gar dekha
meri nazron ne hairat se mujhi ko umr bhar dekha
tasawwur ki hadon mein bhi samana jin ka mushkil tha
nazar walon ne un jalwon ko ta-hadd-e-nazar dekha
sab apne dil mein ek tir-e-nazar mahsus karte hain
magar koi bata sakta nahin us ne kidhar dekha
tayyun bar-taraf maqsud mujh ko sajda karna tha
na hum ne rahguzar dekhi na hum ne sang-e-dar dekha
nazar aata na tha jo gard-e-afkar-o-hawadis mein
wo sahil aankh ne tufan-e-gham mein Dub kar dekha
tumhaare sang-e-dar ko sang-e-dar main kis tarah samjhun
ki jab sajda kiya sar ko jabin-e-arsh par dekha
ajab manzil thi ai 'simab' apni manzil-e-hasti
na mauqa tha Thaharne ka na yara-e-safar dekha
Ghazal
Jo mere tangna-e-dil mein tujhko jalwa-gar dekha
Seemab Akbarabadi