jo mere dil mein farozan hai shairi ki tarah
main us ko DhunDhta phirta hun naukri ki tarah
jo meri zat ka izhaar hai wo lafz abhi
mere labon pe sisakta hai KHamushi ki tarah
hawa ka sath na de is nagar baras ke guzar
main be-hayat hun sukhi hui nadi ki tarah
to la-zawal hai be-manawiyaton ki misal
main be-sabaat hun mangi hui hansi ki tarah
na koi yaad mili hai na koi zaKHm bhara
'nisar' umr kaTi hai musafiri ki tarah
Ghazal
Jo mere dil mein farozan hai shairi ki tarah
Nisar Nasik