jo mere bas mein hai us se ziyaada kya karna
safar to karna hai us ka irada kya karna
bas ek rang hai dil mein kisi ke hone se
ab apne-ap ko is se bhi sada kya karna
jab apni aag hi kafi hai mere jine ko
to mahr o mah se bhi istifada kya karna
tere labon ke siwa kuchh nahin mayassar jab
so fikr-e-saghar-o-saqi-o-baada kya karna
tamam kashtiyan sahil pe hain abhi Thahri
abhi se in ko jalane ka wada kya karna
Ghazal
Jo mere bas mein hai us se ziyaada kya karna
Zeeshan Sahil