اردو हिंदी
Jo mar gae teri chashm-e-siyah ke mare | Shaahi Shayari
jo mar gae teri chashm-e-siyah ke mare

Ghazal

Jo mar gae teri chashm-e-siyah ke mare

Meerza Jawan Bakht Jahandar

;

jo mar gae teri chashm-e-siyah ke mare
na hashr ko bhi uThenge nigah ke mare

misal-e-barg-e-KHizan sarsar-e-firaq se aah
paTakte phirte hain sar hum tabah ke mare

azizo dil na do yusuf ki kar ke chah kabhi
ki ja ke chah mein girte hain chah ke mare

ilahi hashr mein aawaz-e-sur sun kyunkar
uThunga aah main bar-e-gunah ke mare

hazar kar aah-e-dil-e-natawan se ai zalim
ki koh Tal gae hain barg-e-kah ke mare

na samjhiyo ki falak par sitare hain raushan
hain raKHna-dar mere tir-e-ah ke mare

bisan-e-naqsh-e-qadam tere dar se ahl-e-wafa
uThate sar nahin hargiz tabah ke mare

ujaD gae KHirad-o-sabr-o-hosh-o-tab-o-tawan
usi ke naz-o-ada ki sipah ke mare

jahan-e-dil ai 'jahandar' ek din na basa
jafa-e-shah-e-taghaful-shiar ke mare