اردو हिंदी
Jo mansabon ke pujari pahan ke aate hain | Shaahi Shayari
jo mansabon ke pujari pahan ke aate hain

Ghazal

Jo mansabon ke pujari pahan ke aate hain

Rahat Indori

;

jo mansabon ke pujari pahan ke aate hain
kulah tauq se bhaari pahan ke aate hain

amir-e-shahr teri tarah qimti poshak
meri gali mein bhikari pahan ke aate hain

yahi aqiq the shahon ke taj ki zinat
jo ungliyon mein madari pahan ke aate hain

hamare jism ke daghon pe tabsira karne
qamisen log hamari pahan ke aate hain

ibaadaton ka tahaffuz bhi un ke zimme hai
jo masjidon mein safari pahan ke aate hain