jo main ne kah diya us se mukarne wala nahin
ki aasman zamin par utarne wala nahin
main reza reza hun lekin nami abhi tak hai
hawaen lakh chalen main bikharne wala nahin
main jaanta hun wo achchhe dinon ka sathi hai
bure dinon mein idhar se guzarne wala nahin
hamare shahr mein chehra nahin raha shayad
paDe hain aaina-KHane sanwarne wala nahin
tere karam ka saza-war main hun ya dil hai
diya hai tu ne wo kasa jo bharne wala nahin
kahan ka KHwab musafir ki aankh mein 'azim'
ki bahte pani mein manzar Thaharne wala nahin
Ghazal
Jo maine kah diya us se mukarne wala nahin
Ainuddin Azim