jo mai-KHane mein jata tha qadam rakhte jhijhakta tha
ki saghar aankh dikhlata tha aur shisha bhabhakta tha
tamasha ho raha tha abr mein rone se kya mere
udhar pani barasta tha idhar lohu Tapakta tha
baDa ehsan kiya jo dil ko mere khinch kar kaDha
ki muddat se mere sine mein jun kanTa khaTakta tha
tere kuche mein main ne aaj dasht-e-karbala dekha
koi mara paDa tha aur paDa koi sisakta tha
gaya tha teliya kapDon se tu aaina-KHane mein
ki ab tak KHana-e-aina us bu se mahakta tha
maza lene ke tain shirin-maqali ka teri 'hatim'
khaDa munh ko adab se dur nadida sa takta tha
Ghazal
Jo mai-KHane mein jata tha qadam rakhte jhijhakta tha
Shaikh Zahuruddin Hatim