jo mai-kade mein bahakte hain laDkhaDate hain
mera KHayal hai wo tishnagi chhupate hain
zara sa waqt ke suraj ne ruKH jo badla hai
mere wajud pe kuchh sae muskuraate hain
dilon ki samt pe lafzon ke sang mat phenko
zara si Thes se aaine TuT jate hain
tilism-e-zat ki phaili hai tirgi itni
ki wusaton ke ujale simaTte jate hain
sitam-zarifi-e-haalat ka karishma hai
bhaTakne wale mujhe raste batate hain
jinhen 'hayat' shuur-e-hayat hasil hai
fareb dete nahin hain fareb khate hain
Ghazal
Jo mai-kade mein bahakte hain laDkhaDate hain
Hayat Warsi