jo mahw-e-haalat nahin hai
aisi koi zat nahin hai
tum ne mila kar pher lin nazren
jao koi baat nahin hai
husn samajh le ishq ki manzil
itni malumat nahin hai
suraj ubhre chahe Dube
un ke jahan mein raat nahin hai
mere hi dil ne mujh ko miTaya
is mein kisi ka hat nahin hai
bikhre hue hain un ke gesu
raat na kahiye raat nahin hai
kaliyan tak chun leta hai gulchin
aagah-e-jazbaat nahin hai
ashkon pe mere hansne wale
phulon ki barsat nahin hai
tark-e-wafa tauhin-e-wafa hai
meri un ki baat nahin hai
bhig chuka un ka phir daman
aur abhi barsat nahin hai
un se bichhaD kar bhi KHush KHush hun
jaise koi baat nahin hai
kaun sa mera ashk-e-nadamat
aaina-e-jazbaat nahin hai
'sajid' ahl-e-dil ne bataya
aam hamari baat nahin hai
Ghazal
Jo mahw-e-haalat nahin hai
Sajid Siddiqi lakhnavi