jo mal us ne sameTa tha wo bhi sara gaya
wo KHwahishon ke tasadum mein aaj mara gaya
KHumar-e-ishq ki ghaarat-gari hai donon taraf
hamari umr gai aur sukun tumhaara gaya
bipharti mauj ke aage ye kis ko yaad raha
kahan pe naw gai aur kahan kinara gaya
bas ek jaan bachi hai chalo nisar karen
suna hai nam hamara hi phir pukara gaya
zamin pe us ki KHabar hai koi na hai parwa
falak se TuT gaya to kahan sitara gaya
saba ke hath shab-e-hijr ke guzarte hi
tumhaari samt mein ashkon ka goshwara gaya
wo peD TuT gaya to mujhe kuchh aisa laga
ki jaise apni mohabbat ka istiara gaya
har ek naqsh teri yaad se munawwar tha
main apne mazi mein kal raat jab dobara gaya
Ghazal
Jo mal usne sameTa tha wo bhi sara gaya
Syed Anwar Ahmad