jo log ujale ko ujala nahin kahte
hum un ko bura kahte hain achchha nahin kahte
jo joD na de TuTe hue tar dilon ke
hum us ko mohabbat ka tarana nahin kahte
jina ise kahte hain jo ho auron ki KHatir
apne liye jine ko to jina nahin kahte
insan ke dil-o-zehn munawwar na hon jis se
hum aise ujale ko ujala nahin kahte
hairat mein kabhi jalwe ko hum kahte hain parda
parde ko kabhi shauq mein parwa nahin kahte
tum samne ho aur tumhein dekh na paen
hum aise nazare ko nazara nahin kahte
hum tum sa hasin kaise kahen shams-o-qamar ko
har husn ko to husn-e-sarapa nahin kahte
dil rakhne ko munh se yunhi kah dete hain achchha
dil se to 'jigar' wo hamein achchha nahin kahte
Ghazal
Jo log ujale ko ujala nahin kahte
Jigar Jalandhari