jo log rah gae hain meri dastan se dur
kuchh is jahan se dur hain kuchh us jahan se dur
har dastan-e-gham hai meri dastan se dur
jaise ki koi qais ho aah-o-fughan se dur
tu gar nahin hai pas to kya ranj mujh ko hai
ye zindagi kahan hai teri dastan se dur
jab tak tere visal ki surat nahin koi
ji DhunDhta hai ghar koi donon jahan se dur
hai teri kahkashan bhi meri kahkashan ke pas
tera falak kahan hai mere aasman se dur
har sans us ke pyar ko sajda kiye gaya
'sarwar' kabhi raha hi nahin apni man se dur
Ghazal
Jo log rah gae hain meri dastan se dur
Sarwar nepali