jo log dushman-e-jaan the wahi sahaare the
munafe the mohabbat mein ne KHasare the
huzur-e-shah bas itna hi arz karna hai
jo iKHtiyar tumhaare the haq hamare the
ye aur baat bahaaren gurez-pa niklin
gulon ke hum ne to sadqe bahut utare the
KHuda kare ki teri umr mein gine jaen
wo din jo hum ne tere hijr mein guzare the
ab izn ho to teri zulf mein piro den phul
ki aasman ke sitare to istiare the
qarib aae to har gul tha KHana-e-zambur
'nadim' dur ke manzar to pyare pyare the
Ghazal
Jo log dushman-e-jaan the wahi sahaare the
Ahmad Nadeem Qasmi