jo le ke un ki tamanna ke KHwab niklega
ba-ijz-o-shauq ba-haal-e-KHarab niklega
jo rang banT ke jata hai tinke tinke ko
adu zamin ka yahi aaftab niklega
bhari hui hai kai din se dhund galiyon mein
na jaane shahr se kab ye azab niklega
jo de rahe ho zamin ko wahi zamin degi
babul boe to kaise gulab niklega
abhi to subh hui hai shab-e-tamanna ki
bahenge ashk to aankhon se KHwab niklega
mere gunah bahut hain magar taqabul mein
usi ka lutf-o-karam be-hisab niklega
mila kisi ko na 'danish' kuchh aarzu ke KHilaf
pas-e-fana bhi yahi intiKHab niklega
Ghazal
Jo le ke unki tamanna ke KHwab niklega
Ehsan Danish