اردو हिंदी
Jo lamhe TuT chuke un ko joDte kyun ho | Shaahi Shayari
jo lamhe TuT chuke un ko joDte kyun ho

Ghazal

Jo lamhe TuT chuke un ko joDte kyun ho

Karamat Ali Karamat

;

jo lamhe TuT chuke un ko joDte kyun ho
ye juD gae to unhen phir se toDte kyun ho

mizaj-e-shams badal jaega to kya hoga
jo zarre soe hain un ko jhinjhoDte kyun ho

kab aansuon se miTa hai shigaf-e-aina
jo shisha TuT chuka us ko joDte kyun ho

ye ret hai yahan miT jaenge tamam nuqush
tum apna naqsh-e-qadam us pe chhoDte kyun ho

tumhaari samt zamana bil-aKHir aaega
tum apni fikr ki samton ko moDte kyun ho

tumhaari aankhon ne baKHshi hai gul ko namkini
tum apni aankhon mein jalwe nichoDte kyun ho

'karamat' aise mein sanson ka haal kya hoga
sisakte lamhon ki gardan maroDte kyun ho