اردو हिंदी
Jo kuchh numayan hua al-aman maaz-allah | Shaahi Shayari
jo kuchh numayan hua al-aman maaz-allah

Ghazal

Jo kuchh numayan hua al-aman maaz-allah

Nazeer Muzaffarpuri

;

jo kuchh numayan hua al-aman maaz-allah
talattuf-o-karam-e-dostan maaz-allah

kahegi wo nigah-e-itimad-e-agin kya
khulengi jab meri ayyariyan maaz-allah

wo rah-e-ishq mein dil ki maal-andeshi
wo meri aql ki nadaniyan maaz-allah

phir un ke lutf ka mausam palaT ke aaega
taKHaiyyulat ki gul-kariyan maaz-allah

ye mai-kada to nahin ye to sehan-e-masjid hai
ye aa gaya main kahan se kahan maaz-allah

kabhi tha dar-e-wafa ku-e-ishq aur ab hai
qimar-KHana-e-sud-o-ziyan maaz-allah

'nazir' qissa-e-zaKHm-e-nihan kahun kis se
ye dastan hai bahut KHun-chakan maaz-allah