jo kuchh ki tha wazaif-o-aurad rah gaya
tera hi ek nam faqat yaad rah gaya
zalim teri nigah ne kiye ghar ke ghar KHarab
hoga koi makan ki wo aabaad rah gaya
jate hain ham-safir chaman ko par ek main
yan kushta-e-taghaful-e-sayyaad rah gaya
jun hi do-chaar aa ke hua wo nazar-fareb
le kar qalam ko hath mein bahzad rah gaya
is sarw-e-gul-azar ki tarz-e-KHiram dekh
KHajlat se gaD zamin mein shamshad rah gaya
kis kis ka dil na shad kiya tu ne ai falak
ek main hi gham-zada hun ki nashad rah gaya
'bedar' rah-e-ishq kisi se na tai hui
sahra mein qais koh mein farhad rah gaya
Ghazal
Jo kuchh ki tha wazaif-o-aurad rah gaya
Meer Mohammadi Bedar