jo kuchh hua so hua ab sawal hi kya hai
bayan haal karun mujh mein haal hi kya hai
kuchh aur chahti hai un se shorish-e-ulfat
hua KHayal to aisa KHayal hi kya hai
zamana chahiye wo e'tiraf-e-shauq karen
abhi ye roz o shab o mah o sal hi kya hai
kisi KHayal mein bas zindagi guzar jae
gham-e-firaq o ummid-e-visal hi kya hai
bura kiya na karenge kabhi sitam ka gila
huzur dur hi kar den malal hi kya hai
qarar dil ko mayassar nahin kahin jao
nazar-farebi-e-husn-o-jamal hi kya hai
wo samne hain magar husn is ko kahte hain
koi nazar to uThae majal hi kya hai
baDa kamal kiya bhi to chhu liya daman
daraaz-dasti-e-dast-e-sawal hi kya hai
hue wo hum se pashiman 'suha' karam un ka
wagarna aarzu-e-paemal hi kya hai
Ghazal
Jo kuchh hua so hua ab sawal hi kya hai
Suha Mujaddadi