jo kuchh bhi mere pas thi daulat nigal gai
meri ana ko teri mohabbat nigal gai
taswir kah rahi thi musawwir ki dastan
manzar-kashi ko aankh ki hairat nigal gai
hisse mein mere aai hamesha shab-e-firaq
har lamha-e-nashat ko zulmat nigal gai
main ne jalai aag adu ke liye magar
mera wajud aag ki hiddat nigal gai
main bad nahin hun bas yunhi badnam ho gaya
kirdar mera jehl ki tohmat nigal gai
kal aaine mein KHud ko main be-shakl kyun laga
kya gardish-e-jahan meri surat nigal gai
iman apne hathon mein mahfuz tha kahan
jo bach gaya tha us ko bhi bidat nigal gai
ghurbat ne mere shahr ka naqsha badal diya
ghairat ko zinda rahne ki chahat nigal gai
ab fann-e-shairi mein taghazzul kahan bacha
yani ghazal ke husn ko jiddat nigal gai
Ghazal
Jo kuchh bhi mere pas thi daulat nigal gai
Shahzad Husain Saail